"chalte rhna hai"

Submitted by Tarang Gupta on Sun, 02/14/2016 - 17:39

zindagi bhar chalte rahna hai
kahin rukna nahi bas chalte jana hai
sapano ko sach kar dena hai
manjil ko pakar hi rahna hai
khud ko bhi sapano me khojte rhna hai
kahin rukna nahi bas chalte jana hai !
har kisi ki muskan ko badhana hai
sabhi ke kam pe ana hai
khushiyon ko bat te jana hai
har dard ko mitana hai
kahin rukna nahi bas chalte jana hai !
krodh ko bas me karna hai
jeewan safal banana hai
kuch karke dekhana hai
kahin rukna nahi bas chalte jana hai.